Sher-o-Shaayari
  • Home
    • Contact Us
  • Andaaz-e-BayaaaN Aur
  • Behtareen NazmeN
  • Guldastaa
  • Lafz
  • Mehfil-e-Ghazal
  • Related Sites
    • Anjuman-e-Mausiqui
    • Sahir Ludhianvi
    • Unwaan
    • Urdu Poetry Archive
    • Geeton Ki Kitaab

Mehfil-e-Ghazal - 11th June, 2016

6/11/2016

0 Comments

 
aaNkhoN meN rahaa dil meN utar kar nahiiN dekhaa - Bashir Badr

aaNkhoN meN rahaa dil meN utar kar nahiiN dekhaa
kashtii ke musaafir ne samandar nahiiN dekhaa

kashtii = boat; musaafir - passenger; samandar = ocean

bewaqt agar jaa_ooNgaa sab chauNk paRenge
ek umr hu_ii din meN kabhii ghar nahiiN dekhaa

bewaqt = untimely; chauNkanaa = surprised

jis din se chalaa hooN merii manzil pe nazar hai
aaNkhoN ne kabhii meel ka patthar nahiiN dekhaa

manzil = destination/goal; meel kaa patthar = milestone

mah_boob kaa ghar ho ki buzurgoN kii zameeneN
jo chhoR diyaa phir use muR kar nahiiN dekhaa

mah_boob = beloved; buzurgoN = elders

patthar mujhe kahataa hai mujhe chaahanewaalaa
main mom hooN use ne mujhe choo kar nahiiN dekhaa

mom = wax

0 Comments

Mehfil-e-Ghazal - 19th February, 2013

2/19/2013

1 Comment

 
kabhii yooN bhii aa merii aaNkh meN ke merii nazar ko Khabar na ho 
mujhe ek raat nawaaz de magar us ke baad sahar na ho 

[nawaaz - to grant] 

wo baRaa raheem-o-kareem hai mujhe ye sifat bhii ataa kare 
tujhe bhoolane kii duaa karooN to duaa meN merii asar na ho 

[raheem-o-kareem - kind & generous; sifat - talent]
 
mere baazuoN meN thakii thakii abhii mahw-e-Khwaab hai chaaNdanii 
na uThe sitaaroN kii paalakii abhii aahaToN kaa guzar na ho 

ye Gazal ki jaise hiran kii aaNkhoN meN pichhalii raat kii chaaNdanii 
na bujhe Kharaabe kii roshanii kabhii becharaaG ye ghar na ho 

wo firaaq ho yaa wisaal ho terii yaad mahakegii ek din 
wo gulaab ban ke khilegaa kyaa jo chiraaG ban ke jalaa na ho 

kabhii dhoop de, kabhii badaliyaaN, dil-o-jaaN se donoN qubool haiN 
magar us nagar meN na qaid kar jahaaN zindagii kii hawaa na ho 

kabhii din kii dhoop meN jhoom ke kabhii shab ke phool ko choom ke 
yooN hii saath saath chaleN sadaa kabhii Khatm apanaa safar na ho 

[shab - night] 

mere paas mere habeeb aa zaraa aur dil ke qareeb aa 
tujhe dhaRakanoN meN basaa looN maiN ke bichhaRane kaa kabhii Dar na ho 

[habeeb - beloved] 

1 Comment

Mehfil-e-Ghazal - 16th February, 2013

2/16/2013

0 Comments

 
sochaaa nahiiN achhaa buraa dekhaaa sunaa kuchh bhii nahiiN - Bashir Badr

sochaaa nahiiN achhaa buraa dekhaaa sunaa kuchh bhii nahiiN 
maaNgaa Khudaa se raat din tere siwaa kuchh bhii nahiiN 

dekhaa tujhe sochaa tujhe chaahaa tujhe poojaa tujhe 
merii Khataa merii wafaa terii Khataa kuchh bhii nahiiN 

jis par hamaarii aaNkh ne motii bichhaaye raat bhar 
bhejaa wahii kaaGaz use ham ne likhaa kuchh bhii nahiiN 

ik shaam kii dahaleez par baiThe rahe wo der tak 
aaNkhoN se kii baateN bahut mooNh se kahaa kuchh bhii nahiiN 

do chaar din kii baat hai dil Khaak meN so jaayegaa 
jab aag par kaaGaz rakhaa baaqii bachaa kuchh bhii nahiiN 

ehasaas kii Khushboo kahaaN aawaaz ke juganoo kahaaN 
Khaamosh yaadoN ke siwaa ghar meN rahaa kuchh bhii nahiiN 

0 Comments

Mehfil-e-Ghazal - 14th February, 2013

2/14/2013

0 Comments

 
aisaa lagataa hai zindagii tum ho - Bashir Badr

aisaa lagataa hai zindagii tum ho
ajanabii kaise ajanabii tum ho

ab ko_ii aarazoo nahiiN baaqii 
justajoo merii aaKhirii tum ho 

maiN zameeN par ghanaa andheraa hooN 
aasamaanoN kii chaaNdanii tum ho 

dostoN se wafaa kii ummeedeN
kis zamaane ke aadamii tum ho 

0 Comments

Mehfil-e-Ghazal - 12th February, 2013

2/12/2013

1 Comment

 
sar jhukaaoge to patthar devataa ho jaayegaa  - Bashir Badr

sar jhukaaoge to patthar devataa ho jaayegaa 
itanaa mat chaaho use wo be-wafaa ho jaayegaa 

ham bhii dariyaa haiN hameN apanaa hunar maaloom hai 
jis taraf bhii chal paRenge raastaa ho jaayegaa 

kitanii sachchaa_ii se mujh se zindagii ne kah diyaa 
tuu nahiiN meraa to ko_ii doosaraa ho jaayegaa 

main Khudaa kaa naam le kar pii rahaa hooN dosto
zahar bhii is meN agar hogaa dawaa ho jaayegaa 

rooTh jaanaa to mohabbat kii alaamat hai magar 
kyaa Khabar thii mujh se wo itanaa Khafaa ho jaayegaa

1 Comment

Mehfil-e-Gazal - 29th September, 2012

9/29/2012

2 Comments

 
kabhii to aasmaaN se chaaNd utare jaam ho jaaye  - Bashir Badr

kabhii to aasmaaN se chaaNd utare jaam ho jaaye 
tumhaare naam kii ik Khoob_soorat shaam ho jaaye 

hamaaraa dil savere kaa sunaharaa jaam ho jaaye 
charaaGoN kii tarah aaNkheN jaleN jab shaam ho jaaye 

ajab haalaat the yooN dil kaa saudaa ho gayaa aaKhir 
mohabaat kii havelii jis tarah neelaam ho jaaye 

samandar ke safar meN is tarah aawaaz do ham ko 
havaayeN tez hoN aur kashtiyoN meN shaam ho jaaye 

maiN Khud bhii ehatiyaatan us galii se kam guzarataa hooN
ko_ii maasoom kyoN mere liye bad_naam ho jaaye 

mujhe maaloom hai us kaa Thikaana phir kahaaN hogaa 
parindaa aasmaaN chhuune meN jab naaqaam ho jaaye 

ujaale apanii yaadoN ke hamaare saath rahane do 
na jaane kis galii meN zindagii kii shaam ho jaaye 
2 Comments

    Mehfil-e-Ghazal

    A ghazal or nazm from Urdu literature posted on Tuesdays and Saturdays

    Archives

    January 2020
    October 2018
    July 2016
    June 2016
    May 2016
    June 2015
    January 2015
    April 2014
    July 2013
    June 2013
    February 2013
    January 2013
    December 2012
    November 2012
    October 2012
    September 2012

    Categories

    All
    Ahmed Faraz
    Ahmed Mushtaq
    Akbar Allahabadi
    Ali Sardar Jafri
    Ameer Minai
    Andleeb Shadani
    Bashir Badr
    Daag Dehlvi
    Faiz Ahmed Faiz
    Fani Badayuni
    Gulzar
    Hasrat Jaipuri
    Himayat Ali Shaayar
    Ibrahim Ashk
    Iqbal Sufipuri
    Jan Nissar Akhtar
    Jigar Moradabadi
    Kaifi Azmi
    Khalil Ur Rahman Azmi
    Khwaja Mir Dard
    Majrooh Sultanpuri
    Makhdoom Mohiuddin
    Manzar Bhopali
    Masroor Anwar
    Meer Taqi Meer
    Mirza Ghalib
    Mustafa Zaidi
    Muzaffar Shahjahanpuri
    Nasir Kazmi
    Nazeer Akbarabadi
    Nida Fazli
    Obaidullah Aleem
    Parveen Shakir
    Pirzada Qasim
    Prem Warbartoni
    Qabil Ajmeri
    Qateel Shifai
    Sahir Ludhianvi
    Saifuddin Saif
    Shakeel Badayuni
    Shamim Jaipuri
    Shehzad Ahmed
    Shiv Kumar Saroj
    Sikander Ali Wajd
    Sufi Ghulam Mustafa Tabassum
    Surender Malik "Gumnaam"
    Zauq

    RSS Feed

Copyright (c) Nita Awatramani 1997 - 2016