qareeb maut khaRii hai, zaraa Thahar jaao
qazaa se aaNkh laRii hai, zaraa Thahar jaao
qareeb = near; maut = death; qazaa = death
thakii thakii sii fazaa_eN, bujhe bujhe taare
baRii udaas ghaRii hai, zaraa Thahar jaao
thakii = tired; ghaRii = moment
nahiiN ummeed ki ham aaj kii sahar dekheN
ye raat ham pe kaRii hai, zaraa Thahar jaao
sahar = dawn; kaRii = tough
abhii na jaao ki taaroN kaa dil dhaRakataa hai
tamaam raat paRii hai, zaraa Thahar jaao
tamaam = all
dam-e-firaaq meN jii bhar ke tum ko dekh to looN
ye faisale kii ghaRii hai, zaraa Thahar jaao
dam-e-firaaq = moment of separation
faisalaa = decision