Sher-o-Shaayari
  • Home
    • Contact Us
  • Andaaz-e-BayaaaN Aur
  • Behtareen NazmeN
  • Guldastaa
  • Lafz
  • Mehfil-e-Ghazal
  • Related Sites
    • Anjuman-e-Mausiqui
    • Sahir Ludhianvi
    • Unwaan
    • Urdu Poetry Archive
    • Geeton Ki Kitaab

Mehfil-e-Ghazal - 25th October, 2012

10/30/2012

1 Comment

 
kaaravaaN guzaraa kiyaa ham rah_guzar dekhaa kiye - Fani Badayuni

kaaravaaN guzaraa kiyaa ham rah_guzar dekhaa kiye
har qadam par naqsh-e-paa-e-raah_bar dekhaa kiye

yaas jab chhaa_ii ummeedeN haath mal kar rah ga_iiN
dil kii nabzeN chhuT ga_iiN aur chaaraagar dekhaa kiye

[nabz = pulse]

ruKh merii jaanib nigaah-e-lutf dushman kii taraf
yooN udhar dekhaa kiye goyaa idhar dekhaa kiye

[ruKh = face; jaanib = towards]

dard_mandaan-e-wafaa kii haay re majabooriyaaN
dard-e-dil dekhaa naa jaataa thaa magar dekhaa kiye

tuu kahaaN thii ai ajal ai naa_muraadoN kii muraad
marane waale raah terii umr bhar dekhaa kiye

[ajal = death]
1 Comment

Mehfil-e-Ghazal - 23rd October, 2012

10/28/2012

7 Comments

 
aayaa na raas naalaa-e-dil kaa asar mujhe - Jigar Moradabadi

aayaa na raas naalaa-e-dil kaa asar mujhe
ab tum mile to kuchh nahiiN apanii Khabar mujhe

[raas = liking, agreeable; naalaa = wail, lament; asar = effect, result]

Daalaa hai beKhudii ne ajab raah par mujhe
aankheN aur kuchh nahiiN aataa nazar mujhe

karanaa hai aaj hazarat-e-naaseh se saamanaa
mil jaaye do ghaRii ko tumhaarii nazar mujhe

yak_saaN hai husn-o-ishq kii sarmastiyoN kaa rang
un kii Khabar unheN hai na merii Khabar mujhe

[yak_saaN = similar to, equal]

maiN door hooN to rooh-e-suKhan mujh se kis liye
tum paas ho to kyoN nahiiN aate nazar mujhe
7 Comments

Mehfil-e-Ghazal - 20th October, 2012

10/20/2012

1 Comment

 
hamaare saath jise maut se ho pyaar chale - Shamim Jaipuri

hamaare saath jise maut se ho pyaar chale
ko_ii chale na chale ham to soo-e-daar chale

na daur-e-jaam na ab qissaa-e-bahaar chale
unhiiN kaa zikr chale aur baar baar chale

hamiiN chaman meN payaam-e-bahaar laaye the
chaman se le ke hamiiN hasarat-e-bahaar chale

ye Gam nahiiN ki yahaaN kuchh hameN amaaN na milii
Khushii meN aise terii anjuman saNwaar chale

1 Comment

Mehfil-e-Ghazal - 18th October, 2012

10/18/2012

0 Comments

 
zaraa sii baat pe har rasm toR aayaa thaa - Jan Nissar Akhtar

zaraa sii baat pe har rasm toR aayaa thaa
dil-e-tabaah ne bhii kyaa mizaaj paayaa thaa

muaaf kar naa sakii merii zindagii mujh ko
wo ek lamhaa ki maiN tujh se tang aayaa thaa

shaguftaa phool simaT kar kalii bane jaise
kuchh is tarah se toone badan churaayaa thaa

guzar gayaa hai ko_ii lamhaa-e-sharar kii tarah
abhii to maiN use pahachaan bhii na paayaa thaa

pataa nahiiN ki mere baad un pe kyaa guzarii
maiN chand Khwaab zamaane meN chhoR aayaa thaa
0 Comments

Mehfil-e-Ghazal - 16th October, 2012

10/16/2012

1 Comment

 
zid par ishq agar aa jaaye - Jigar Moradabadi

zid par ishq agar aa jaaye
paanii chhiRake aag lagaaye

sheeshaa TooTe Gul mach jaaye
dil TooTe aawaaz na aaye

[Gul = noise (as in shor-Gul)]

naGmaa wahii hai naGmaa ki jis ko
rooh sune aur rooh sunaaye

husn wahii hai husn jo zaalim
haath lagaaye haath na aaye
1 Comment

Mehfil-e-Ghazal - 13th October, 2012

10/15/2012

2 Comments

 
tum muhabbat ko chhupaatii kyooN ho - Kaifi Azmi

tum muhabbat ko chhupaatii kyooN ho

dil bhii hai dil meN tamannaa bhii hai
kuchh jawaanii kaa taqaazaa bhii hai
tum ko apane pe bharosaa bhii hai
jheNp kar aaNkh milaatii kyooN ho
tum muhabbat ko chhupaatii kyooN ho

zulm tum ne ko_ii Dhaayaa to nahiiN
ibn-e-adam ko sataayaa to nahiiN
KhooN GareeboN kaa bahaayaa to nahiiN
yooN paseene meN nahaatii kyooN ho
tum muhabbat ko chhupaatii kyooN ho

paradaa hai daaG chhupaane ke liye
sharm hai jhooTh pe chhaane ke liye
ishq ik geet hai gaane ke liye
is ko hoNThoN meN dabaatii kyooN ho
tum muhabbat ko chhupaatii kyooN ho
2 Comments

Mehfil-e-Ghazal - 11th October, 2012

10/14/2012

0 Comments

 
tere aane kaa dhokhaa saa rahaa hai - Nasir Kazmi

tere aane kaa dhokhaa saa rahaa hai
diyaa saa raat bhar jalataa rahaa hai

ajab hai raat se aaNkhoN kaa aalam
ye dariyaa raat bhar chaRhataa rahaa hai

sunaa hai raat bhar barasaa hai baadal
magar wo shahar jo pyaasaa rahaa hai

wo ko_ii dost thaa achchhe dinoN kaa
jo pichhalii raat se yaad aa rahaa hai

kise DhooNDhoge in galiyoN meN "Nasir"
chalo ab ghar chaleN din jaa rahaa hai

0 Comments

Mehfil-e-Ghazal - 9th October, 2012

10/14/2012

0 Comments

 
aahaT sii ko_ii aaye to lagataa hai ke tum ho - Jan Nissar Akhtar

aahaT sii ko_ii aaye to lagataa hai ke tum ho
saayaa ko_ii laharaaye to lagataa hai ke tum ho

jab shaaKh ko_ii haath lagaate hii chaman meN
sharmaaye lachak jaaye to lagataa hai ke tum ho

sandal se mahakatii hu_ii pur_kaif hawaa kaa
jhoNkaa ko_ii Takaraaye to lagataa hai ke tum ho

raste ke dhuNdhalake meN kisii moR pe kuchh door
ik lau sii chamak jaaye to lagataa hai ke tum ho

oRhe hu_e taaroN kii chamakatii hu_ii chaadar
nadiyaa ko_ii balkhaaye to lagataa hai ke tum ho

jab raat gaye ko_ii kiran mere baraabar
chup_chaap se so jaaye to lagataa hai ke tum ho

0 Comments

Mehfil-e-Ghazal - 6th October, 2012

10/13/2012

1 Comment

 
tere laboN ke muqaabil gulaab kyaa hogaa  - Shiv Kumar Saroj

tere laboN ke muqaabil gulaab kyaa hogaa
too laajawaab hai teraa javaab kyaa hogaa

terii adaa pe fidaa ham to kyaa zamaanaa hai
nisaar tujh pe mere dil kaa ye khazaanaa hai
tere shabaab se baRh kar shabaab kyaa hogaa
tere laboN ke muqaabil

too muskuraaye to jaatii bahaar aa jaaye
dil-e-beemaar ko phir se qaraar aa jaaye
tere karam kaa kisii se hisaab kyaa hogaa
tere laboN ke muqaabil

1 Comment

Mehfil-e-Ghazal - 4th October, 2012

10/5/2012

46 Comments

 
phir ko_ii haath hai dil par jaise - Ahmed Faraz

phir ko_ii haath hai dil par jaise
phir teraa ahad-e-wafaa yaad aayaa

jis tarah dhund meN lipaTe huye phool
ek ek naqsh teraa yaad aayaa

aisii majaboorii ke aalam meN ko_ii
yaad bhii aayaa to kyaa yaad aayaa

yaad aayaa thaa bichhaRanaa teraa
phir nahiiN yaad ke kyaa yaad aayaa

ye mohabbat bhii hai kyaa rog "Faraz"
jis ko bhoole wo sadaa yaad aayaa
46 Comments
<<Previous

    Mehfil-e-Ghazal

    A ghazal or nazm from Urdu literature posted on Tuesdays and Saturdays

    Archives

    January 2020
    October 2018
    July 2016
    June 2016
    May 2016
    June 2015
    January 2015
    April 2014
    July 2013
    June 2013
    February 2013
    January 2013
    December 2012
    November 2012
    October 2012
    September 2012

    Categories

    All
    Ahmed Faraz
    Ahmed Mushtaq
    Akbar Allahabadi
    Ali Sardar Jafri
    Ameer Minai
    Andleeb Shadani
    Bashir Badr
    Daag Dehlvi
    Faiz Ahmed Faiz
    Fani Badayuni
    Gulzar
    Hasrat Jaipuri
    Himayat Ali Shaayar
    Ibrahim Ashk
    Iqbal Sufipuri
    Jan Nissar Akhtar
    Jigar Moradabadi
    Kaifi Azmi
    Khalil Ur Rahman Azmi
    Khwaja Mir Dard
    Majrooh Sultanpuri
    Makhdoom Mohiuddin
    Manzar Bhopali
    Masroor Anwar
    Meer Taqi Meer
    Mirza Ghalib
    Mustafa Zaidi
    Muzaffar Shahjahanpuri
    Nasir Kazmi
    Nazeer Akbarabadi
    Nida Fazli
    Obaidullah Aleem
    Parveen Shakir
    Pirzada Qasim
    Prem Warbartoni
    Qabil Ajmeri
    Qateel Shifai
    Sahir Ludhianvi
    Saifuddin Saif
    Shakeel Badayuni
    Shamim Jaipuri
    Shehzad Ahmed
    Shiv Kumar Saroj
    Sikander Ali Wajd
    Sufi Ghulam Mustafa Tabassum
    Surender Malik "Gumnaam"
    Zauq

    RSS Feed

Copyright (c) Nita Awatramani 1997 - 2016