Sher-o-Shaayari
  • Home
    • Contact Us
  • Andaaz-e-BayaaaN Aur
  • Behtareen NazmeN
  • Guldastaa
  • Lafz
  • Mehfil-e-Ghazal
  • Related Sites
    • Anjuman-e-Mausiqui
    • Sahir Ludhianvi
    • Unwaan
    • Urdu Poetry Archive
    • Geeton Ki Kitaab

Mehfil-e-Ghazal - 4th June, 2016

6/4/2016

0 Comments

 
kuchh din to baso merii aaNkhoN meN - Obaidullah Aleem

kuchh din to baso merii aaNkhoN meN 
phir Khwaab agar ho jaao to kyaa 

ko_ii rang to do mere chehare ko 
phir zaKhm agar mahakaao to kyaa 

ik aa_iinaa thaa so TooT gayaa 
ab Khud se agar sharmaao to kyaa 

maiN tanhaa thaa maiN tanhaa hooN 
tum aao to kyaa na aao to kyaa 

jab ham hii na mahake phir saahib 
tum baad-e-sabaa kahalaao to kyaa 

jab dekhane waalaa ko_ii nahiiN 
bujh jaao to kyaa jal jaao to kyaa
​
0 Comments

Mehfil-e-Ghazal - 1st June, 2016

6/1/2016

0 Comments

 
tere pyaar meN ruswaa ho kar jaaye kahaaN deewaane log - Obaidullah Aleem

tere pyaar meN ruswaa ho kar jaaye kahaaN deewaane log 
jaane kyaa kyaa poochh raheN haiN ye jaane pah_chaane log 

jaise tumheN ham ne chaahaa thaa kaun bhalaa yooN chaahegaa 
maanaa aur bahut aayeNge tum se pyaar jataane log 

kaise dukhoN ke mausam aaye kaisii aag lagii yaaro 
ab saharaaoN se laate haiN phooloN ke nazaraane log 

kal maatam beqeemat hogaa aaj in kii tauqeer karo 
dekho Khoon-e-jigar se kyaa kyaa likhate haiN afsaane log 

[tauqeer=respect] 

jaanate haiN ye ishq musal_sal rog hai aah-o-zaarii kaa 
phir bhii us ke kooche meN jaate haiN umr gawaane log 
​
0 Comments

    Mehfil-e-Ghazal

    A ghazal or nazm from Urdu literature posted on Tuesdays and Saturdays

    Archives

    January 2020
    October 2018
    July 2016
    June 2016
    May 2016
    June 2015
    January 2015
    April 2014
    July 2013
    June 2013
    February 2013
    January 2013
    December 2012
    November 2012
    October 2012
    September 2012

    Categories

    All
    Ahmed Faraz
    Ahmed Mushtaq
    Akbar Allahabadi
    Ali Sardar Jafri
    Ameer Minai
    Andleeb Shadani
    Bashir Badr
    Daag Dehlvi
    Faiz Ahmed Faiz
    Fani Badayuni
    Gulzar
    Hasrat Jaipuri
    Himayat Ali Shaayar
    Ibrahim Ashk
    Iqbal Sufipuri
    Jan Nissar Akhtar
    Jigar Moradabadi
    Kaifi Azmi
    Khalil Ur Rahman Azmi
    Khwaja Mir Dard
    Majrooh Sultanpuri
    Makhdoom Mohiuddin
    Manzar Bhopali
    Masroor Anwar
    Meer Taqi Meer
    Mirza Ghalib
    Mustafa Zaidi
    Muzaffar Shahjahanpuri
    Nasir Kazmi
    Nazeer Akbarabadi
    Nida Fazli
    Obaidullah Aleem
    Parveen Shakir
    Pirzada Qasim
    Prem Warbartoni
    Qabil Ajmeri
    Qateel Shifai
    Sahir Ludhianvi
    Saifuddin Saif
    Shakeel Badayuni
    Shamim Jaipuri
    Shehzad Ahmed
    Shiv Kumar Saroj
    Sikander Ali Wajd
    Sufi Ghulam Mustafa Tabassum
    Surender Malik "Gumnaam"
    Zauq

    RSS Feed

Copyright (c) Nita Awatramani 1997 - 2016