Sher-o-Shaayari
  • Home
    • Contact Us
  • Andaaz-e-BayaaaN Aur
  • Behtareen NazmeN
  • Guldastaa
  • Lafz
  • Mehfil-e-Ghazal
  • Related Sites
    • Anjuman-e-Mausiqui
    • Sahir Ludhianvi
    • Unwaan
    • Urdu Poetry Archive
    • Geeton Ki Kitaab

Mehfil-e-Ghazal - 5th January, 2013

1/5/2013

9 Comments

 
jeene kaa raaz maiN ne mohabbat meN paa liyaa - Muzaffar Shahjahanpuri

jeene kaa raaz maiN ne mohabbat meN paa liyaa
jis kaa bhii Gam hu_aa use apanaa banaa liyaa

tum Gam kaa bojh ro ke bhii halkaa na kar sake
maiN ne haNsii ki aaR meN har Gam chhupaa liyaa

sunaane ko jab na ko_ii milaa daastaan-e-Gam
aa_iinaa rakh ke saamane Khud ko sunaa liyaa
9 Comments

Mehfil-e-Ghazal - 3rd January, 2013

1/3/2013

5 Comments

 
tuune kuchh bhii na kahaa jo jaise - Sufi Ghulam Mustafa Tabassum

tuune kuchh bhii na kahaa jo jaise
mere hii dil kii sadaa ho jaise

yooN terii yaad se jii ghabaraayaa
tuu mujhe bhool gayaa ho jaise

is tarah tujh se kiye haiN shikawe
mujh ko apane se gilaa ho jaise

yooN har ek naqsh pe jhukatii hai jabeeN
teraa naqsh-e-qaf-e-paa ho jaise

tere hoNThoN kii Khafii sii larzish
ik haseeN sher hu_aa ho jaise

5 Comments

Mehfil-e-Ghazal - 1st January, 2013

1/2/2013

1 Comment

 
chalate ho to chaman ko chaliye kahate haiN ke bahaaraaN hai - Meer

chalate ho to chaman ko chaliye kahate haiN ke bahaaraaN hai
paat hare haiN phool khile haiN kam kam baad-o-baaraaN hai

rang hawaa se yooN Tapake hai jaise sharaab chuwaate haiN
aage ho maiKhaane ke nikalo ahad-e-baad_gusaaraaN hai

dil hai daaGii jigar hai TukaRe aaNsoo the so Khoon huye
lahoo paanii ek kare ye ishq-e-laal-o-azaaraaN hai

kohakan-o-majanoo kii Khaatir dasht-o-koh meN ham na gaye
ishq meN ham ko 'Meer' nihaayat paas-e-izzat_daaraaN hai


Wishing all our readers a very happy, peaceful and prosperous New Year!
1 Comment

    Mehfil-e-Ghazal

    A ghazal or nazm from Urdu literature posted on Tuesdays and Saturdays

    Archives

    January 2020
    October 2018
    July 2016
    June 2016
    May 2016
    June 2015
    January 2015
    April 2014
    July 2013
    June 2013
    February 2013
    January 2013
    December 2012
    November 2012
    October 2012
    September 2012

    Categories

    All
    Ahmed Faraz
    Ahmed Mushtaq
    Akbar Allahabadi
    Ali Sardar Jafri
    Ameer Minai
    Andleeb Shadani
    Bashir Badr
    Daag Dehlvi
    Faiz Ahmed Faiz
    Fani Badayuni
    Gulzar
    Hasrat Jaipuri
    Himayat Ali Shaayar
    Ibrahim Ashk
    Iqbal Sufipuri
    Jan Nissar Akhtar
    Jigar Moradabadi
    Kaifi Azmi
    Khalil Ur Rahman Azmi
    Khwaja Mir Dard
    Majrooh Sultanpuri
    Makhdoom Mohiuddin
    Manzar Bhopali
    Masroor Anwar
    Meer Taqi Meer
    Mirza Ghalib
    Mustafa Zaidi
    Muzaffar Shahjahanpuri
    Nasir Kazmi
    Nazeer Akbarabadi
    Nida Fazli
    Obaidullah Aleem
    Parveen Shakir
    Pirzada Qasim
    Prem Warbartoni
    Qabil Ajmeri
    Qateel Shifai
    Sahir Ludhianvi
    Saifuddin Saif
    Shakeel Badayuni
    Shamim Jaipuri
    Shehzad Ahmed
    Shiv Kumar Saroj
    Sikander Ali Wajd
    Sufi Ghulam Mustafa Tabassum
    Surender Malik "Gumnaam"
    Zauq

    RSS Feed

Copyright (c) Nita Awatramani 1997 - 2016