Sher-o-Shaayari
  • Home
    • Contact Us
  • Andaaz-e-BayaaaN Aur
  • Behtareen NazmeN
  • Guldastaa
  • Lafz
  • Mehfil-e-Ghazal
  • Related Sites
    • Anjuman-e-Mausiqui
    • Sahir Ludhianvi
    • Unwaan
    • Urdu Poetry Archive
    • Geeton Ki Kitaab

Mehfil-e-Ghazal - 27th July, 2016

7/27/2016

4 Comments

 
kii wafaa ham se to Gair use jafaa kahate haiN - Mirza Ghalib

kii wafaa ham se to Gair use jafaa kahate haiN
hotii aa_ii hai ke achchhoN ko buraa kahate haiN

aaj ham apanii pareshaanii-e-Khaatir un se
kahane jaate to haiN, par dekhiye kyaa kahate haiN

agale waqtoN ke haiN ye log, inheN kuchh na kaho
jo may-o-naGmeN ko andoh_roobaa kahate haiN

aNdoharoobaa = cure for pain or sorrow

dil meN aa jaaye hai, hotii hai jo fursat Gash se
aur phir kaun se naale ko rasaa kahate haiN

Gash = senseless/in a faint; rasaa = with a long reach

hai par-e-sarahad-e-idaraak se apanaa masjood
qible ko, ahal-e-nazar, qiblaanumaa kahate haiN

par-e-sarahad-e-idaraak = beyond the boundaries of knowledge
masjood = to whom one bows i.e. God

paa-e-afagaar pe jab se tujhe raham aayaa hai
Khaar-e-raah ko tere ham mehr-e-giyaa kahate haiN

paa-e-afagaar = wounded feet; Khaar-e-raah = thorn in the road; 
mehr-e-giyaa = (blade of) grass of kindness

ik sharar dil meN hai, us se ko_ii ghabaraayegaa kyaa
aag mataloob hai hamako, jo hawaa kahate haiN

dekhiye laatii hai us shoKh kii naKhwat kyaa raNg
us kii har baat pe ham naam-e-Khudaa kahate haiN

naKhwat = pride

wahashat-o-sheftaa ab marsiyaa kahaweN shaayad
mar gayaa "Ghalib"-e-aashuftaanawaa kahate haiN

wahashat-o-sheftaa = two poets of that time; marsiyaa = eulogy/poem of 
sorrow; aashuftaanawaa = one who speaks nonsense

4 Comments

Mehfil-e-Ghazal - 27th December, 2012

12/27/2012

22 Comments

 
har ek baat pe kahate ho tum ki tuu kyaa hai - Mirza Ghalib

har ek baat pe kahate ho tum ki tuu kyaa hai 
tumhiiN kaho ke ye andaaz-e-guftagoo kyaa hai 

na shole meN ye karishmaa na barq meN ye adaa 
koii bataao ki wo shoKh-e-tund_Khoo kyaa hai 

ye rashk hai ki wo hotaa hai ham_suKhan ham se 
wagarnaa Khauf-e-badaamozii-e-adoo kyaa hai 

[rashk=jealousy; ham_suKhan=some who agrees with you] 
[Khauf=fear; aamozii=teaching; adoo=enemy] 

chipak rahaa hai badan par lahoo se pairaahan 
hamaarii jeb ko an haajat-e-rafoo kyaa hai 

[pairaahan=dress/cloth/robe; haajat=need; rafoo=darning] 

jalaa hai jism jahaaN dil bhii jal gayaa hogaa 
kuredate ho jo ab raakh justajoo kyaa hai 

ragoN meN dauRate phirane ke ham nahiiN qaayal 
jab aaNkh hii se na Tapakaa to phir lahoo kyaa hai 

wo cheez jis ke liye ham ko ho bahisht azeez 
siwaaye baadaa-e-gulfaam-e-mushkaboo kyaa hai 

[bahisht = heaven; azeez = dear; siwaaye = except for]
[aadaa = wine; gulfaam = delicate/like a flower] 
[mushkaboo = the smell of musk] 

piyooN sharaab agar Khum bhii dekh looN do chaar 
ye sheeshaa-o-qadaah-o-koozaa-o-suboo kyaa hai 

[Khum = wine barrel, qadaah = goblet, suboo = wine pitcher ] 

rahii na taaqat-e-guftaar aur agar ho bhii 
to kis ummeed pe kahiye ke aarazoo kyaa hai 

[guftaar = speech] 

banaa hai shaah kaa musaahib phire hai itaraataa 
wagarnaa is shahar meN "Ghalib" kii aabaroo kyaa hai 

22 Comments

    Mehfil-e-Ghazal

    A ghazal or nazm from Urdu literature posted on Tuesdays and Saturdays

    Archives

    January 2020
    October 2018
    July 2016
    June 2016
    May 2016
    June 2015
    January 2015
    April 2014
    July 2013
    June 2013
    February 2013
    January 2013
    December 2012
    November 2012
    October 2012
    September 2012

    Categories

    All
    Ahmed Faraz
    Ahmed Mushtaq
    Akbar Allahabadi
    Ali Sardar Jafri
    Ameer Minai
    Andleeb Shadani
    Bashir Badr
    Daag Dehlvi
    Faiz Ahmed Faiz
    Fani Badayuni
    Gulzar
    Hasrat Jaipuri
    Himayat Ali Shaayar
    Ibrahim Ashk
    Iqbal Sufipuri
    Jan Nissar Akhtar
    Jigar Moradabadi
    Kaifi Azmi
    Khalil Ur Rahman Azmi
    Khwaja Mir Dard
    Majrooh Sultanpuri
    Makhdoom Mohiuddin
    Manzar Bhopali
    Masroor Anwar
    Meer Taqi Meer
    Mirza Ghalib
    Mustafa Zaidi
    Muzaffar Shahjahanpuri
    Nasir Kazmi
    Nazeer Akbarabadi
    Nida Fazli
    Obaidullah Aleem
    Parveen Shakir
    Pirzada Qasim
    Prem Warbartoni
    Qabil Ajmeri
    Qateel Shifai
    Sahir Ludhianvi
    Saifuddin Saif
    Shakeel Badayuni
    Shamim Jaipuri
    Shehzad Ahmed
    Shiv Kumar Saroj
    Sikander Ali Wajd
    Sufi Ghulam Mustafa Tabassum
    Surender Malik "Gumnaam"
    Zauq

    RSS Feed

Copyright (c) Nita Awatramani 1997 - 2016