Sher-o-Shaayari
  • Home
    • Contact Us
  • Andaaz-e-BayaaaN Aur
  • Behtareen NazmeN
  • Guldastaa
  • Lafz
  • Mehfil-e-Ghazal
  • Related Sites
    • Anjuman-e-Mausiqui
    • Sahir Ludhianvi
    • Unwaan
    • Urdu Poetry Archive
    • Geeton Ki Kitaab

Mehfil-e-Ghazal - 27th July, 2016

7/27/2016

4 Comments

 
kii wafaa ham se to Gair use jafaa kahate haiN - Mirza Ghalib

kii wafaa ham se to Gair use jafaa kahate haiN
hotii aa_ii hai ke achchhoN ko buraa kahate haiN

aaj ham apanii pareshaanii-e-Khaatir un se
kahane jaate to haiN, par dekhiye kyaa kahate haiN

agale waqtoN ke haiN ye log, inheN kuchh na kaho
jo may-o-naGmeN ko andoh_roobaa kahate haiN

aNdoharoobaa = cure for pain or sorrow

dil meN aa jaaye hai, hotii hai jo fursat Gash se
aur phir kaun se naale ko rasaa kahate haiN

Gash = senseless/in a faint; rasaa = with a long reach

hai par-e-sarahad-e-idaraak se apanaa masjood
qible ko, ahal-e-nazar, qiblaanumaa kahate haiN

par-e-sarahad-e-idaraak = beyond the boundaries of knowledge
masjood = to whom one bows i.e. God

paa-e-afagaar pe jab se tujhe raham aayaa hai
Khaar-e-raah ko tere ham mehr-e-giyaa kahate haiN

paa-e-afagaar = wounded feet; Khaar-e-raah = thorn in the road; 
mehr-e-giyaa = (blade of) grass of kindness

ik sharar dil meN hai, us se ko_ii ghabaraayegaa kyaa
aag mataloob hai hamako, jo hawaa kahate haiN

dekhiye laatii hai us shoKh kii naKhwat kyaa raNg
us kii har baat pe ham naam-e-Khudaa kahate haiN

naKhwat = pride

wahashat-o-sheftaa ab marsiyaa kahaweN shaayad
mar gayaa "Ghalib"-e-aashuftaanawaa kahate haiN

wahashat-o-sheftaa = two poets of that time; marsiyaa = eulogy/poem of 
sorrow; aashuftaanawaa = one who speaks nonsense

4 Comments
shaista
10/26/2016 11:07:08 pm

آپ کی اردو شاعری کی ترویج کے حوالے سے یہ کاوش قابل تعریف ہے جسکا لیے تہہ دل سے ہم شکرگزار ہیں جون ایلیا کے کچھ شعر شئیر کررہا ہوں امید ہے آپکو پسند آئیں گے
Nazar hairaan, dil veeraan, mera jee nahin lagta
bichhad kar tum se meri jaan.. mera jee nahin lagta.

Koi bhi toh nahin hai jo pukaare raah mein mujh ko
hun main benaam ek insaan.. mera jee nahi lagta.

Jahan milte the hum – tum, aur jahan mil kar bichhadte the
na woh dar hai na woh dalaan.. mera jee nahin lagta.

Kahin sar hai kahin sauda, kahin wehshat kahin sehra
kahin main hun, kahin samaan.. mera jee nahi lagta.

Mere hi shehar mein, mere muhalle mein, mere ghar mein
bula lo tum mujhe mehmaan.. mera jee nahi lagta.

Main tum ko bhool jaaun, bhoolne ka dukh na bhulunga
nahin hai khel ye aasaan.. mera jee nahi lagta.
<a href="www.jaunelia.com">jaun elia urdu Poetry</a>

Reply
sidra khan link
11/17/2016 07:17:20 am

Woww what about this :) ?

Dheere Se Sarakti Hai Raat Uske Aanchal Ki Tarah,

Uska Chehra Nazar Aata Hai Jheel MeiN Kanwal Ki Tarah...

Reply
Muhammad Anas link
12/6/2016 08:30:49 am

This is really awesome.

Reply
Muhammad Anas link
12/14/2016 04:53:26 am

WAAhhhhh! kia baat he...!

Reply



Leave a Reply.

    Mehfil-e-Ghazal

    A ghazal or nazm from Urdu literature posted on Tuesdays and Saturdays

    Archives

    January 2020
    October 2018
    July 2016
    June 2016
    May 2016
    June 2015
    January 2015
    April 2014
    July 2013
    June 2013
    February 2013
    January 2013
    December 2012
    November 2012
    October 2012
    September 2012

    Categories

    All
    Ahmed Faraz
    Ahmed Mushtaq
    Akbar Allahabadi
    Ali Sardar Jafri
    Ameer Minai
    Andleeb Shadani
    Bashir Badr
    Daag Dehlvi
    Faiz Ahmed Faiz
    Fani Badayuni
    Gulzar
    Hasrat Jaipuri
    Himayat Ali Shaayar
    Ibrahim Ashk
    Iqbal Sufipuri
    Jan Nissar Akhtar
    Jigar Moradabadi
    Kaifi Azmi
    Khalil Ur Rahman Azmi
    Khwaja Mir Dard
    Majrooh Sultanpuri
    Makhdoom Mohiuddin
    Manzar Bhopali
    Masroor Anwar
    Meer Taqi Meer
    Mirza Ghalib
    Mustafa Zaidi
    Muzaffar Shahjahanpuri
    Nasir Kazmi
    Nazeer Akbarabadi
    Nida Fazli
    Obaidullah Aleem
    Parveen Shakir
    Pirzada Qasim
    Prem Warbartoni
    Qabil Ajmeri
    Qateel Shifai
    Sahir Ludhianvi
    Saifuddin Saif
    Shakeel Badayuni
    Shamim Jaipuri
    Shehzad Ahmed
    Shiv Kumar Saroj
    Sikander Ali Wajd
    Sufi Ghulam Mustafa Tabassum
    Surender Malik "Gumnaam"
    Zauq

    RSS Feed

Copyright (c) Nita Awatramani 1997 - 2016