jab merii haqeeqat jaa jaa kar un ko sunaa_ii logoN ne
kuchh sach bhii kahaa kuchh jhooTh kahaa kuchh baat banaa_ii logoN ne
DhaayeN haiN hameshaa zulm-o-sitam duniyaa ne muhabaat waaloN par
do dil ko kabhii milane na diyaa deewaar uThaa_ii logoN ne
aaNkhoN se na aaNsoo poNch sake hoNThoN pe Khushii dekhii na ga_ii
aabaad jo dekhaa ghar meraa to aag lagaa_ii logoN ne
tanhaa_ii kaa saathii mil na sakaa ruswaa_ii meN shaamil shahar huaa
pahale to meraa dil to.D diyaa phir iid manaa_ii logoN ne
is daur meN jeenaa mushkil hai ai 'Ashk' ko_ii aasaaN nahiiN
har ik qadam par marane kii ab rasm chalaa_ii logoN ne