Sher-o-Shaayari
  • Home
    • Contact Us
  • Andaaz-e-BayaaaN Aur
  • Behtareen NazmeN
  • Guldastaa
  • Lafz
  • Mehfil-e-Ghazal
  • Related Sites
    • Anjuman-e-Mausiqui
    • Sahir Ludhianvi
    • Unwaan
    • Urdu Poetry Archive
    • Geeton Ki Kitaab

Mehfil-e-Ghazal - January 14th, 2020

1/14/2020

1 Comment

 
tarz jeene kaa sikhatii hai mujhe  - Khalil ur Rahman Azmi

tarz jeene kaa sikhatii hai mujhe 
tashnagii zahar pilaatii hai mujhe 

[tarz=style; tashnagii=thirst] 

raat bhar rahatii hai kis baat kii dhun 
na jagaatii hai na sulaatii hai mujhe 

rooThataa hooN jo kabhii duniyaa se 
zindagii aake manaatii hai mujhe 

aa_iinaa dekhooN to kyooNkar dekhooN 
yaad ik shaKhs kii aatii hai mujhe 

baNd karataa hooN jo aaNkheN kyaa kyaa 
roshanii sii nazar aatii hai mujhe 

ko_ii mil jaaye to raastaa kaT jaaye 
apanii parachaa_ii Daraatii hai mujhe 

ab to ye bhool gayaa kis kii talab 
des parades phiraatii hai mujhe 

[talab=desire] 

kaise ho Khatm kahaanii Gam kii 
ab to kuchh neeNd sii aatii hai mujhe
1 Comment
Ahmad link
4/10/2020 08:37:00 am

Very Interesting Poetry

Reply



Leave a Reply.

    Mehfil-e-Ghazal

    A ghazal or nazm from Urdu literature posted on Tuesdays and Saturdays

    Archives

    January 2020
    October 2018
    July 2016
    June 2016
    May 2016
    June 2015
    January 2015
    April 2014
    July 2013
    June 2013
    February 2013
    January 2013
    December 2012
    November 2012
    October 2012
    September 2012

    Categories

    All
    Ahmed Faraz
    Ahmed Mushtaq
    Akbar Allahabadi
    Ali Sardar Jafri
    Ameer Minai
    Andleeb Shadani
    Bashir Badr
    Daag Dehlvi
    Faiz Ahmed Faiz
    Fani Badayuni
    Gulzar
    Hasrat Jaipuri
    Himayat Ali Shaayar
    Ibrahim Ashk
    Iqbal Sufipuri
    Jan Nissar Akhtar
    Jigar Moradabadi
    Kaifi Azmi
    Khalil Ur Rahman Azmi
    Khwaja Mir Dard
    Majrooh Sultanpuri
    Makhdoom Mohiuddin
    Manzar Bhopali
    Masroor Anwar
    Meer Taqi Meer
    Mirza Ghalib
    Mustafa Zaidi
    Muzaffar Shahjahanpuri
    Nasir Kazmi
    Nazeer Akbarabadi
    Nida Fazli
    Obaidullah Aleem
    Parveen Shakir
    Pirzada Qasim
    Prem Warbartoni
    Qabil Ajmeri
    Qateel Shifai
    Sahir Ludhianvi
    Saifuddin Saif
    Shakeel Badayuni
    Shamim Jaipuri
    Shehzad Ahmed
    Shiv Kumar Saroj
    Sikander Ali Wajd
    Sufi Ghulam Mustafa Tabassum
    Surender Malik "Gumnaam"
    Zauq

    RSS Feed

Copyright (c) Nita Awatramani 1997 - 2016