wafaa ke bhes meN ko_ii raqeeb-e-shahar bhii hai
hazar! ke shahar ke qaatil tabeeb-e-shahar bhii hai
wahii sipaah-e-sitam Khemaazan hai chaaroN taraf
jo mere baKht meN thaa ab naseeb-e-shahar bhii hai
udhar kee aag idhar bhii pahuNch na jaaye kahiiN
hawaa bhii tez hai jangal qareeb-e-shahar bhii hai
ab us ke hijr meN rote haiN us ke ghaayal bhii
Khabar na thii ke wo zaalim habeeb-e-shahar bhii hai
ye raaz naaraa-e-mansoor hii se ham pe Khulaa
ke choob-e-mimbar-e-masjid saleeb-e-shahar bhii hai
kaRee hai jang ke ab ke muqaabile pe 'Faraz'
ameer-e-shahar bhii hai aur khateeb-e-shahar bhii hai