Sher-o-Shaayari
  • Home
    • Contact Us
  • Andaaz-e-BayaaaN Aur
  • Behtareen NazmeN
  • Guldastaa
  • Lafz
  • Mehfil-e-Ghazal
  • Related Sites
    • Anjuman-e-Mausiqui
    • Sahir Ludhianvi
    • Unwaan
    • Urdu Poetry Archive
    • Geeton Ki Kitaab

Mehfil-e-Ghazal - 18th September, 2012

9/18/2012

3 Comments

 
zabaan-e-hind hai urdoo - Manzar Bhopali
 
zabaan-e-hind hai urdoo to maathe kii shikan kyooN hai 
watan meN be-watan kyooN hai 
 [shikan = frown] 

merii mazloom urdoo terii saaNsoN meN ghuTan kyooN hai 
teraa lehjaa mahakataa hai to lafzoN meN thakan kyooN hai 
agar tuu phool hai to phool meN itanii chubhan kyooN hai 
watan meN be-watan kyooN hai 
[mazloom = oppressed; ghuTan = suffocation] 
[lehjaa = style/manner; thakan = fatigue] 

 ye naanak kii ye Khusro kii dayaa shankar kii bolii hai 
ye deewaalii ye baisaakhii ye iid-ul-fitr holii hai 
magar ye dil kii dhaRakan aaj kal dil kii jalan kyooN hai 
watan meN be-watan kyooN hai 

 ye naazoN se palii thii meer ke Gaalib ke aaNgan meN 
jo sooraj ban ke chamakii thii kabhii mahaloN ke daaman meN 
wo shah_zaadii zabaanoN kii yahaaN be_anjuman kyooN hai 
watan meN be-watan kyooN hai 

[be_anjuman = without a gathering/assembly (alone)] 

 muhabbat kaa sabhii elaan kar jaate haiN mehfil meN 
ke is ke waaste jazbaa hai ham_dardii kaa har dil meN 
magar haq maaNgane ke waqt ye begaanaapan kyooN hai 
watan meN be-watan kyooN hai 

[elaan = proclaimation; jazbaa = feeling; ham_dardii = sympathy] 
[begaanaapan = indifference/aloofness] 

ye dosheezaa jo baazaaroN se iThalaatii guzaratii thii 
laboN kii naazukii jis kii gulaaboN sii bikharatii thii 
jo tahazeeboN kii sar kii oRhanii thii ab kafan kyooN hai 
watan meN be-watan kyooN hai 

 [dosheezaa = young girl; naazukii = delicacy; tahazeeb = culture/etiquette] 
[oRhanii = weil; kafan = shroud] 

 muhabbat kaa agar daawaa hai to is ko bachaao tum 
jo waadaa kal kiyaa thaa aaj wo waadaa nibhaao tum 
agar tum raam ho to phir ye raawan kaa chalan kyooN hai 
watan meN be-watan kyooN hai

3 Comments
Surfing Simply
9/21/2012 05:44:46 pm

Waise to ...... Zabaan-E-Hind Hain Urdu .....

Par yeh bhi ek haqeeqat hain .....

Jin sehro mein goonji thi Ghalib ki nawaa barso
Un sehro mein aaj Urdu be-naam-o-nishaan thehri
Aazaadi-e-qaamil kaa ailaan huaa jis din
Ma’atoob zabaan thehri, gaddaar zabaan thehri

Jis ahd-e-siyaasat ne yeh zindaa zabaan kuchli
Us ahd-e-siyaasat ko marhumo kaa gam kyon hain?
Ghalib jise kehte hain Urdu hi kaa shaayar thaa
Urdu pe sitam dhaa kar, Ghalib pe karam kyon hain?


- An insightful lament by Sahir Ludhianvi [at the Centenary Celebrations of Mirza Ghalib]

Reply
Nita
9/22/2012 12:35:36 am

Thank you for sharing Sahir's quote on the state of Urdu! I agree with the general state of affairs. Not much has changed in these past few decades and it is sad that such a rich and beautiful language is not taught in schools and does not get even a small measure of the recognition and awareness that it is due.

Reply
abid
10/11/2012 11:53:36 pm

g o g

Reply



Leave a Reply.

    Mehfil-e-Ghazal

    A ghazal or nazm from Urdu literature posted on Tuesdays and Saturdays

    Archives

    January 2020
    October 2018
    July 2016
    June 2016
    May 2016
    June 2015
    January 2015
    April 2014
    July 2013
    June 2013
    February 2013
    January 2013
    December 2012
    November 2012
    October 2012
    September 2012

    Categories

    All
    Ahmed Faraz
    Ahmed Mushtaq
    Akbar Allahabadi
    Ali Sardar Jafri
    Ameer Minai
    Andleeb Shadani
    Bashir Badr
    Daag Dehlvi
    Faiz Ahmed Faiz
    Fani Badayuni
    Gulzar
    Hasrat Jaipuri
    Himayat Ali Shaayar
    Ibrahim Ashk
    Iqbal Sufipuri
    Jan Nissar Akhtar
    Jigar Moradabadi
    Kaifi Azmi
    Khalil Ur Rahman Azmi
    Khwaja Mir Dard
    Majrooh Sultanpuri
    Makhdoom Mohiuddin
    Manzar Bhopali
    Masroor Anwar
    Meer Taqi Meer
    Mirza Ghalib
    Mustafa Zaidi
    Muzaffar Shahjahanpuri
    Nasir Kazmi
    Nazeer Akbarabadi
    Nida Fazli
    Obaidullah Aleem
    Parveen Shakir
    Pirzada Qasim
    Prem Warbartoni
    Qabil Ajmeri
    Qateel Shifai
    Sahir Ludhianvi
    Saifuddin Saif
    Shakeel Badayuni
    Shamim Jaipuri
    Shehzad Ahmed
    Shiv Kumar Saroj
    Sikander Ali Wajd
    Sufi Ghulam Mustafa Tabassum
    Surender Malik "Gumnaam"
    Zauq

    RSS Feed

Copyright (c) Nita Awatramani 1997 - 2016