Sher-o-Shaayari
  • Home
    • Contact Us
  • Andaaz-e-BayaaaN Aur
  • Behtareen NazmeN
  • Guldastaa
  • Lafz
  • Mehfil-e-Ghazal
  • Related Sites
    • Anjuman-e-Mausiqui
    • Sahir Ludhianvi
    • Unwaan
    • Urdu Poetry Archive
    • Geeton Ki Kitaab

Mehfil-e-Ghazal - January 11th, 2020

1/11/2020

0 Comments

 
neeyat-e-shauq bhar na jaaye kahiiN - Nasir Kazmi

neeyat-e-shauq bhar na jaaye kahiiN 
too bhii dil se utar na jaaye kahiiN 

aaj dekhaa hai tujhe der ke baad 
aaj kaa din guzar na jaaye kahiiN 

na milaa kar udaas logoN se 
husn teraa bikhar na jaaye kahiiN 

aarazoo hai ke too yahaaN aaye 
aur phir umr bhar na jaaye kahiiN 

jee jalaataa hooN aur ye sochataa hooN 
raayegaaN ye hunar na jaaye kahiiN 

aao kuchh der ro hii leN 'Nasir'
phir ye dariyaa utar na jaaye kahiiN 
0 Comments

Mehfil-e-Ghazal - 11th October, 2012

10/14/2012

0 Comments

 
tere aane kaa dhokhaa saa rahaa hai - Nasir Kazmi

tere aane kaa dhokhaa saa rahaa hai
diyaa saa raat bhar jalataa rahaa hai

ajab hai raat se aaNkhoN kaa aalam
ye dariyaa raat bhar chaRhataa rahaa hai

sunaa hai raat bhar barasaa hai baadal
magar wo shahar jo pyaasaa rahaa hai

wo ko_ii dost thaa achchhe dinoN kaa
jo pichhalii raat se yaad aa rahaa hai

kise DhooNDhoge in galiyoN meN "Nasir"
chalo ab ghar chaleN din jaa rahaa hai

0 Comments

    Mehfil-e-Ghazal

    A ghazal or nazm from Urdu literature posted on Tuesdays and Saturdays

    Archives

    January 2020
    October 2018
    July 2016
    June 2016
    May 2016
    June 2015
    January 2015
    April 2014
    July 2013
    June 2013
    February 2013
    January 2013
    December 2012
    November 2012
    October 2012
    September 2012

    Categories

    All
    Ahmed Faraz
    Ahmed Mushtaq
    Akbar Allahabadi
    Ali Sardar Jafri
    Ameer Minai
    Andleeb Shadani
    Bashir Badr
    Daag Dehlvi
    Faiz Ahmed Faiz
    Fani Badayuni
    Gulzar
    Hasrat Jaipuri
    Himayat Ali Shaayar
    Ibrahim Ashk
    Iqbal Sufipuri
    Jan Nissar Akhtar
    Jigar Moradabadi
    Kaifi Azmi
    Khalil Ur Rahman Azmi
    Khwaja Mir Dard
    Majrooh Sultanpuri
    Makhdoom Mohiuddin
    Manzar Bhopali
    Masroor Anwar
    Meer Taqi Meer
    Mirza Ghalib
    Mustafa Zaidi
    Muzaffar Shahjahanpuri
    Nasir Kazmi
    Nazeer Akbarabadi
    Nida Fazli
    Obaidullah Aleem
    Parveen Shakir
    Pirzada Qasim
    Prem Warbartoni
    Qabil Ajmeri
    Qateel Shifai
    Sahir Ludhianvi
    Saifuddin Saif
    Shakeel Badayuni
    Shamim Jaipuri
    Shehzad Ahmed
    Shiv Kumar Saroj
    Sikander Ali Wajd
    Sufi Ghulam Mustafa Tabassum
    Surender Malik "Gumnaam"
    Zauq

    RSS Feed

Copyright (c) Nita Awatramani 1997 - 2016