Sher-o-Shaayari
  • Home
    • Contact Us
  • Andaaz-e-BayaaaN Aur
  • Behtareen NazmeN
  • Guldastaa
  • Lafz
  • Mehfil-e-Ghazal
  • Related Sites
    • Anjuman-e-Mausiqui
    • Sahir Ludhianvi
    • Unwaan
    • Urdu Poetry Archive
    • Geeton Ki Kitaab

Behtareen NazmeN - October 5th, 2018

10/5/2018

0 Comments

 
Intesaab - Faiz Ahmed Faiz

aaj ke naam 
aur 
aaj ke Gam ke naam 
aaj kaa Gam ki hai zindagii ke bhare gul_sitaaN se Khafaa 
zard pattoN kaa ban 
zard pattoN kaa ban jo meraa des hai 
dard kaa anjuman jo meraa des hai 
kilarkoN kii afasurdaa jaanoN ke naam 
kirm_Khurdaa diloN aur zabaanoN ke naam 
posT-mainoN ke naam 
TangewaaloN ke naam 
rel_baanoN ke naam 
kaar_KhaanoN ke bhole jiyaaloN ke naam 
baad_shaah-e-jahaaN, waali-e-maasiwaa, nae_bullaah-e-fil-arz, dahakaaN ke naam 

jis ke DhoroN ko zaalim hankaa le gaye 
jis kii beTii ko Daakoo uThaa le gaye 
haath bhar Khet se ek angusht paTawaar ne kaaT lii hai 
doosarii maaliye ke bahaane se sarakaar ne kaaT lii hai 
jis ke pag zor waaloN ke paaNwoN tale 
dhajjiyaaN ho gayi hai 

un duKhii maaoN ke naam 
raat meN jin ke bachche bilaKhate haiN aur 
neeNd kii maar khaaye hue baazooN se sanbhalate nahiiN 
dukh bataate nahiiN 
minnatoN zaariyoN se bahalate nahiiN 

un haseenaaoN ke naam 
jin kii aaNkhoN ke gul 
chilamanoN aur darichoN kii beloN pe bekaar khil khil ke 
murjhaa gaye haiN 
un byaahataaoN ke naam 
jin ke badan 
be_mohabbat riyaakaar sejoN pe saj saj ke ukataa gaye haiN 
bewaaoN ke naam 
kataRiyoN aur galiyoN, muhalloN ke naam 
jin kii naapaak Khaashaak se chaaNd raatoN 
ko aa aa ke karataa hai aksar wazoo 
jin kii saayoN meN karatii hai aaho-bukaa 
aaNchaloN kii hinaa 
chooRiyoN kii khanak 
kaakuloN kii mahak 
aarzoo_mand seenoN kii apane paseene meN jalane kii boo 

paRanewaaloN ke naam 
wo jo asahaab-e-tablo-alam 
ke daroN par kitaab aur qalam 
kaa takaazaa liye, haath phailaaye 
pahuNche, magar lauT kar ghar na aaye 
wo maasoom jo bholepan meN 
wahaaN apane naNhe chiraaGoN meN lau kii lagan 
le ke pahuNche jahaaN 
baNT rahe the ghaTaaTop, be-ant raatoN ke saaye 
un aseeroN ke naam 
jin ke seenoN meN fardaa ke shabataab gauhar 
jel_KhaanoN kii shoreedaa raatoN kii sar-sar meN 
jal-jal ke anjum_numaaN ho gaye haiN 

aanewaale dinoN ke safeeroN ke naam 
wo jo Khushboo-e-gul kii tarah 
apane paiGaam par Khud fidaa ho gaye haiN 

**Left incomplete by Faiz** 


kirm_Khurdaa = moth-eaten
waali-e-maasiwaa = master
nae_bullaah-e-fil-arz = God's representatiwe on Earth
dahakaaN = peasant
angusht = small (uNgalii bhar)
maaliye = lewy, tax
zaariyoN = weeping 
riyaakaar = insincere
kataRiyoN = group of houses
Khaashaak = trash 
kaakuloN = tresses
asahaab-e-tablo-alam = owner of flag and drums (leaders)
aseer = prisoner
fardaa = future
gauhar = pear
shoreedaa = anxious, worried

[aNjum-numaaN = star-like; safeeroN = ambassador] 

0 Comments



Leave a Reply.

    Behtareen NazmeN

    A selection of the best nazms (poems) from Urdu poetry, posted once a week, usually on Thursdays

    Archives

    January 2020
    November 2018
    October 2018
    October 2016
    September 2016
    August 2016
    July 2016

    Categories

    All
    Allama Iqbal
    Faiz Ahmed Faiz
    Gulzar
    Kafeel Aazer
    Kaifi Azmi
    Makhdoom Mohiuddin
    Masroor Anwar
    Nazeer Akbarabadi
    Nida Fazli
    Noon Meem Rashid
    Parveen Shakir
    Sahir Ludhianvi

    RSS Feed

Copyright (c) Nita Awatramani 1997 - 2016