Sher-o-Shaayari
  • Home
    • Contact Us
  • Andaaz-e-BayaaaN Aur
  • Behtareen NazmeN
  • Guldastaa
  • Lafz
  • Mehfil-e-Ghazal
  • Related Sites
    • Anjuman-e-Mausiqui
    • Sahir Ludhianvi
    • Unwaan
    • Urdu Poetry Archive
    • Geeton Ki Kitaab

Behtareen NazmeN - 12th July, 2016

7/12/2016

0 Comments

 
mujhe tum nazar se giraa to rahe ho - Masroor Anwar

mujhe tum nazar se giraa to rahe ho 
mujhe tum kabhii bhii bhulaa naa sakoge 
na jaane mujhe kyuuN yaqiiN ho chalaa hai 
merii yaad ko tum miTaa naa sakoge 

merii yaad hogii jidhar jaaoge tum 
kabhii naGmaa ban ke, kabhii ban ke aaNsuu 
taRapataa mujhe har taraf paaoge tum 
shamaa jo jalaa_ii merii wafaa ne 
bujhaanaa bhii chaaho bujhaa naa sakoge 

kaabhii naam baatoN meN aayaa jo meraa 
to bechain ho ho ke dil thaam loge 
nigaahoN pe chhaayegaa Gam kaa andheraa 
kisii ne jo poochhaa sabab aaNsuoN kaa 
bataanaa bhii chaaho bataa naa sakoge 

The following 'band'  written by Kamraan Mehdi is often sung by Mehdi Hasan. 

mere dil kii dhaRakan banii hai jo sholaa 
sulagate haiN armaaN yooN ban-ban ke aaNsoo 
kabhii to tumheN bhii ye ehasaas hogaa 
magar ham na hoNge terii zindagii meN 
bulaanaa bhii chaaho bulaa naa sakoge 

0 Comments

    Behtareen NazmeN

    A selection of the best nazms (poems) from Urdu poetry, posted once a week, usually on Thursdays

    Archives

    January 2020
    November 2018
    October 2018
    October 2016
    September 2016
    August 2016
    July 2016

    Categories

    All
    Allama Iqbal
    Faiz Ahmed Faiz
    Gulzar
    Kafeel Aazer
    Kaifi Azmi
    Makhdoom Mohiuddin
    Masroor Anwar
    Nazeer Akbarabadi
    Nida Fazli
    Noon Meem Rashid
    Parveen Shakir
    Sahir Ludhianvi

    RSS Feed

Copyright (c) Nita Awatramani 1997 - 2016