Sher-o-Shaayari
  • Home
    • Contact Us
  • Andaaz-e-BayaaaN Aur
  • Behtareen NazmeN
  • Guldastaa
  • Lafz
  • Mehfil-e-Ghazal
  • Related Sites
    • Anjuman-e-Mausiqui
    • Sahir Ludhianvi
    • Unwaan
    • Urdu Poetry Archive
    • Geeton Ki Kitaab

Behtareen NazmeN - 6th September, 2016

9/6/2016

0 Comments

 
roTiyaaN - Nazeer Akbarabadi

jab aadamii ke peT meN aatii haiN roTiyaaN
phoolii nahiiN badan meN samaaatii haiN roTiyaaN
aaNkheN parii_ruKhoN se laRaatii haiN roTiyaaN
siine oopar bhii haath chalaatii haiN roTiyaaN

jitane maze haiN sab ye dikhaatii haiN roTiyaaN

roTii se jis kaa naak talak peT hai bharaa
karataa phire hai kyaa wo uchhal kood jaa ba jaa
diiwaar phaaNd kar ko_ii koThaa uchhal gayaa
ThaaThTha haNsii sharaab sanam saaqii is siwaa

sau sau tarah kii dhoom machaatii haiN roTiyaaN

jis jaa pe haaNDii choolhaa tawaa aur tanoor hai
Khaaliq ke qudaratoN kaa usii jaa zahoor hai
choolhe ke aage aaNch jo jalatii hazoor hai
jitane haiN noor sab meN yahii Khaas noor hai

is noor ke sabab nazar aatii haiN roTiyaaN

aawe tawe tanoor kaa jis jaa zabaaN pe naam
yaa chakkii choolhe kaa jahaaN gul_zaar ho tamaam
waaN sar jhukaa ke kiijiye DanDawat aur salaam
is waaste ke Khaas ye roTii ke haiN muqaam

pahale inhiiN makaanoN meN aatii haiN roTiyaaN

in roTiyoN ke noor se sab dil haiN poor poor
aaTaa nahiiN hai chhalanii se chhan chhan gire hai noor
peRaa har ek us kaa hai barfii-o-motii choor
har_giz kisii tarah na bujhe peT kaa tanoor

is aag ko magar ye bujhaatii haiN roTiyaaN

poochhaa kisii ne ye kisii kaamil faqiir se
ye mehr-o-maah haq ne banaaye haiN kaahe ke
wo sun ke bolaa baabaa Khudaa tujh ko Khair de
ham to na chaaNd samajhe na sooraj haiN jaanate

baabaa hameN to ye nazar aatii haiN roTiyaaN

phir poochhaa us ne kahiye ye hai dil kaa noor kyaa
is ke mushaahide meN hai khulataa zahoor kyaa
wo bolaa sun ke teraa gayaa hai sha_oor kyaa
kashf-ul-quloob aur ye kashf-ul-quboor kyaa

jitane haiN kashf sab ye dikhaatii haiN roTiyaaN

roTii jab aa_ii peT meN sau qand ghul gaye
gul_zaar phoole aaNkhoN meN aur aish tul gaye
do tar niwaale peT meN jab aa ke dhul gaye
chaudaa tabaq ke jitane the sab bhed khul gaye

ye kashf ye kamaal dikhaatii haiN roTiyaaN

roTii na peT meN ho to phir kuchh jatan na ho
mele kii sair Khwaahish-e-baaG-o-chaman na ho
bhooke Gariib dil kii Khudaa se lagan na ho
sach hai kahaa kisii ne ke bhooke bhajan na ho

allaah kii bhii yaad dilaatii haiN roTiyaaN

ab jin ke aage maal_puye bhar ke thaal haiN
poorii bhagat unhiiN kii wo saahab ke laal haiN
aur jin ke aage rauGanii aur shiir_maal hai
aarif wohii haiN aur wohii saahab kamaal haiN

pakii pakaa_ii ab jinheN aatii haiN roTiyaaN

kapaRe kisii ke laal haiN roTii ke waaste
lambe kisii ke baal haiN roTii ke waaste
baaNdhe ko_ii rumaal hai rotii ke waaste
sab kashf aur kamaal haiN rotii ke waaste

jitane haiN roop sab ye dikhaatii haiN roTiyaaN

roTii se naache piyaadaa qawaayad dikhaa dikhaa
asawaar naache ghoRe ko kaawaa lagaa lagaa
ghungharoo ko baaNdhe paik bhii phirataa hai naachataa
aur is ke siwaa Gaur se dekho to jaa ba jaa

sau sau tarah ke naach dikhaatii haiN roTiyaaN

duniyaa meN ab badii na kahiiN aur niko_ii hai
na dushmanii wa dostii na tund kho_ii hai
ko_ii kisii kaa aur kisii kaa na ko_ii hai
sab ko_ii hai usii kaa ke jis haath Do_ii hai

naukar nafar Gulaam banaatii haiN roTiyaaN

roTii kaa ab azal se hamaaraa to hai Khamiir
rookhii bhii roTii haq meN hamaare hai shahad-o-shiir
yaa patalii howe moTii Khamiirii ho yaa katiir
gehooN ju_aar baajare kii jaisii ho 'Nazeer'

ham ko sab tarah kii Khush aatii haiN roTiyaaN


Here is a video of a song from the movie Kali Topi Lal Rumaal on the same topic
​
0 Comments

    Behtareen NazmeN

    A selection of the best nazms (poems) from Urdu poetry, posted once a week, usually on Thursdays

    Archives

    January 2020
    November 2018
    October 2018
    October 2016
    September 2016
    August 2016
    July 2016

    Categories

    All
    Allama Iqbal
    Faiz Ahmed Faiz
    Gulzar
    Kafeel Aazer
    Kaifi Azmi
    Makhdoom Mohiuddin
    Masroor Anwar
    Nazeer Akbarabadi
    Nida Fazli
    Noon Meem Rashid
    Parveen Shakir
    Sahir Ludhianvi

    RSS Feed

Copyright (c) Nita Awatramani 1997 - 2016