Sher-o-Shaayari
  • Home
    • Contact Us
  • Andaaz-e-BayaaaN Aur
  • Behtareen NazmeN
  • Guldastaa
  • Lafz
  • Mehfil-e-Ghazal
  • Related Sites
    • Anjuman-e-Mausiqui
    • Sahir Ludhianvi
    • Unwaan
    • Urdu Poetry Archive
    • Geeton Ki Kitaab

Behtareen NazmeN - January 23rd, 2020

1/23/2020

0 Comments

 
ishq kaa jaadoo - Amjad Islam Amjad

meraa tamaam fan, merii kawash, meraa riyaaz
ik naa_tamaam geet ke misare haiN jin ke beech
maanii kaa rabt hai na kisii kaafiye kaa mel
anjaam jis kaa tay na huaa ho ik aisaa khel
merii mataa bas yahii jadoo hai ishq kaa
seekhaa hai jis ko maiN ne baRii mushkiloN ke saath

lekin ye saahir-e-ishq kaa tohfaa ajeeb hai 
khulataa nahiiN hai kuchh ke haqeeqat meN kyaa hai ye
taqadeer kii ataa hai yaa ko_ii sazaa hai ye
kis se kaheN ai jaaN ke ye qissaa ajeeb hai
kahane ko yooN to ishq kaa jadoo hai mere paas
par mere dil  ke waaste itanaa hai is kaa bojh
seene se ik pahaaR-saa haTataa nahiiN hai ye
lekin asar ke baab meN halkaa hai is qadar
tujh pe agar chalaaooN to chalataa nahiiN hai ye
0 Comments



Leave a Reply.

    Behtareen NazmeN

    A selection of the best nazms (poems) from Urdu poetry, posted once a week, usually on Thursdays

    Archives

    January 2020
    November 2018
    October 2018
    October 2016
    September 2016
    August 2016
    July 2016

    Categories

    All
    Allama Iqbal
    Faiz Ahmed Faiz
    Gulzar
    Kafeel Aazer
    Kaifi Azmi
    Makhdoom Mohiuddin
    Masroor Anwar
    Nazeer Akbarabadi
    Nida Fazli
    Noon Meem Rashid
    Parveen Shakir
    Sahir Ludhianvi

    RSS Feed

Copyright (c) Nita Awatramani 1997 - 2016