Sher-o-Shaayari
  • Home
    • Contact Us
  • Andaaz-e-BayaaaN Aur
  • Behtareen NazmeN
  • Guldastaa
  • Lafz
  • Mehfil-e-Ghazal
  • Related Sites
    • Anjuman-e-Mausiqui
    • Sahir Ludhianvi
    • Unwaan
    • Urdu Poetry Archive
    • Geeton Ki Kitaab

Behtareen NazmeN - 5th July, 2016

7/5/2016

0 Comments

 
baat nikalegii to phir door talak jaayegii - Kafeel Aazer

baat nikalegii to phir door talak jaayegii
log bewajah udaasii kaa sabab poochhenge 
ye bhii poochhenge ki tum itanii pareshaaN kyooN ho 
uNgaliyaaN uThengii sukhe huye baaloN kii taraf 
ik nazar dekheNge guzare huye saaloN kii taraf 
chuRiyoN par bhii ka_ii tanz kiye jaayenge 
kaaNpate haathoN pe bhii fikre kase jaayenge 

log zaalim haiN har ik baat kaa taanaa denge 
baatoN baatoN meN meraa zikr bhii le aayenge 
un kii baatoN kaa zaraa saa bhii asar mat lenaa 
warnaa chehare ke taasur se samajh jaayenge 
chaahe kuchh bhii ho sawaalaat na karanaa un se 
mere baare meN ko_ii baat na karanaa un se 

baat nikalegii to phir door talak jaayegii 
​
0 Comments



Leave a Reply.

    Behtareen NazmeN

    A selection of the best nazms (poems) from Urdu poetry, posted once a week, usually on Thursdays

    Archives

    January 2020
    November 2018
    October 2018
    October 2016
    September 2016
    August 2016
    July 2016

    Categories

    All
    Allama Iqbal
    Faiz Ahmed Faiz
    Gulzar
    Kafeel Aazer
    Kaifi Azmi
    Makhdoom Mohiuddin
    Masroor Anwar
    Nazeer Akbarabadi
    Nida Fazli
    Noon Meem Rashid
    Parveen Shakir
    Sahir Ludhianvi

    RSS Feed

Copyright (c) Nita Awatramani 1997 - 2016