ko_ii samajhaayiye ki kyaa rang hai maiKhaane kaa
aaNkh saaqii kii uThe naam ho paimaane kaa
garmii-e-shamaa kaa afasaanaa sunaanewaalo
raqs dekhaa nahiiN tum ne abhii parawaane kaa
[garmii-e-shamaa = shamaa kii garmii; raqs = dance]
chashm-e-saaqii mujhe har gaam pe yaad aatii hai
raastaa bhool na jaaooN kahiiN maiKhaane kaa
[chashm-e-saaqii = saaqii kii nazar]
ab to har shaam guzaratii hai isii kooche meN
ye nateejaa huaa naaseh tere samajhaane kaa
[koochaa = street; nateejaa = result; naaseh = advisor]
ab to har manzil se guzarnaa to hai aasaaN "Iqbal"
ishq hai naam Khud apane se guzar jaane kaa