Gazab kiyaa tere waade pe aitabaar kiyaa
tamaam raat qayaamat kaa intazaar kiyaa
[tamaam=whole]
haNsaa haNsaa ke shab-e-wasl ashk_baar kiyaa
tasalliyaaN mujhe de-de ke beqaraar kiyaa
ham aise mahw-e-nazaaraa na the jo hosh aataa
magar tumhaare taGaaful ne hoshiyaar kiyaa
fasaana-e-shab-e-Gam un ko ek kahaanii thii
kuchh aitabaar kiyaa aur kuchh naa_aitabaar kiyaa
ye kis ne jalwaa hamaare sar-e-mazaar kiyaa
ki dil se shor uThaa haaye beqaraar kiyaa
taRap phir ai dil-e-naadaaN ki Gair kahate haiN
aaKhir kuchh na banii sabr iKhtiyaar kiyaa
[sabr=patience]
bhulaa bhulaa ke jataayaa hai un ko raaz-e-nihaaN
chhipaa chhipaa ke mohabbat ko aashakaar kiyaa
[raaz-e-nihaaN = hidden secret; aashakaar=reveal]
tumheN to waadaa-e-deedaar ham se karanaa thaa
ye kyaa kiyaa ke jahaaN ko ummeed_waar kiyaa
ye dil ko taab kahaaN hai ke ho maalandesh
unhone waadaa kiyaa ham ne aitabaar kiyaa
na poochh dil kii haqeeqat magar ye kahate haiN
wo beqaraar rahe jis ne beqaraar kiyaa
kuchh aage daawar-e-mahashar se hai ummeed mujhe
kuchh aap ne mere kahane kaa aitabaar kiyaa
[daawar-e-mahashar=the judge presiding on the day of judgement i.e. God]