hotii aa_ii hai ke achchhoN ko buraa kahate haiN
Gair = stranger
jafaa = infidelity
kii wafaa ham se to Gair use jafaa kahate haiN
hotii aa_ii hai ke achchhoN ko buraa kahate haiN Gair = stranger jafaa = infidelity ye kahaaN kii dostii hai ki bane hai dost naaseh
ko_ii chaaraa_saaz hotaa ko_ii Gam_gusaar hotaa naaseh = counselor chaaraa_saaz = healer, doctor Gam_gusaar = one who consoles or comforts rone se aur ishq meN bebaak ho gaye
dhoye gaye ham itane ki bas paak ho gaye bebaak = fearless; bold dhonaa = to wash paak = pure dil-e-naadaaN tujhe huaa kyaa hai
aaKhir is dard kii dawaa kyaa hai dil-e-naadaaN = innocent heart aaKhir = after all dard = pain dawaa = medicine, cure tum salaamat raho hazaar baras
har baras ke hoN din pachaas hazaar salamaat = safe, protected, (in this context, live) hazaar = thousand baras = year har = every din = day pachaas = fifty jaanaa paRaa raqeeb ke dar par hazaar baar
aye kaash jaanataa na terii rah_guzar ko maiN raqeeb = rival dar = door hazaar baar = thousand times aye kaash = I wish rah_guzar = street (where you live) kyaa rahooN Gurbat meN Khush jab ho hawaadis kaa ye haal
naamaa laataa hai watan se naamaabar aksar khulaa Gurbat = exile, in foreign land hawaadis = mishaps, misfortunes haal = condition naamaa = letter, message watan = homeland naamaabar = letter bearer, messenger aksar = often khulaa = open nazar lage na kahiiN un ke dast-o-baajoo ko
ye log kyoN mere zaKhm-e-jigar ko dekhate haiN nazar lagaanaa = to cast an evil eye dast-o-baajoo - hand and arms zaKhm = wound jigar = liver; often a metaphor for courage or heart or soul dost Gam_Khwaarii meN merii sa_ii farmaayenge kyaa
zaKhm ke bharne talak naaKhun na baRh aayenge kyaa dost = friend Gam_Khwaarii = consolation, comforting in one's sorrow sa_ii = attempt, effort zaKhm = wound naaKhun = nails ham wahaaN hai jahaaN se ham ko bhii
kuchh hamaarii Khabar nahiiN aatii Khabar = news |
Mirza GhalibMirza Asadullah Khan "Ghalib" is the most quoted and well known of all Urdu poets. His poetry is posted here as a tribute to him, usually on Tuesdays and Fridays Archives
January 2020
Categories
All
|